Likhte hai ki likhne se
Dil halka ho jaae,
Jo baat kehni hai keh do aaj hi,
Na jaane kab masla kal ka ho jaae.
Issi bahane se padh lena ki mera naam likha hai,
Issi bahane ishtehaar gazal ka ho jaae.
Tum chhod do mujhe beshak par itna khyaal rakhna,
Dil todna na masla shagal ka ho jaae.
Hum zinda hai faqat issi lihaaj se,
Unpe na mukadma katal ka ho jaae.
No comments:
Post a Comment